[p. 62]
Kavi aur Shabd
Ye shabd bhalā kyā hain
Desh hain
Kaviyon ka svadesh hain
Kaviyon ka nivās hain
Ye shabd bhalā kya hain
Mukh hain
Dilāsā deten
Sukh hain
Manphal arthāt
manocchāran hain.
Ye shabd bhalā kya hain
Hal hain
Mānaviya samāj to khet hai
Kavi iskā halvāhā hai.
Ye shabd bhalā kya hain
Mālā hain
Kritagyatā ki parikshā
Kavi ke bhed ka lakshan
Äkār aur mukhākriti hain.
Ye shabd bhalā kyā hain
Desh hain.
Priyatam svadesh kaviyon ka
Kaviyon ka prabhutva hain.